Meer Ali Ausat Rashk

mere liye duniya ke qazaya ko banaya

Meer Ali Ausat Rashk

1797-1867
mere liye duniyā ke qazāyā ko banāyā
tere liye āsā.ish-e-duniyā ko banāyā
mazrūf se taqdīm kahāñ zarf ne paa.ī
dil ba.ad banā pahle tamannā ko banāyā
hotā chalā aatā hai zamāna tah-o-bālā
a.alā ko bigāḌā kabhī adnā ko banāyā
mai-ḳhāna-e-duniyā meñ hai ifrāt-e-mai-e-izz
jhukne ke liye gardan-e-mīnā ko banāyā
hai guft-o-shunīd aise se ai 'rashk' ki jis ne
gosha-e-sunva-o-lab-e-goyā ko banāyā
Top Urdushayar.com