Khalish Barodvi

na KHat likhe na diye un ko tar ab ke baras

Khalish Barodvi

na ḳhat likhe na diye un ko taar ab ke baras
guzar ga.ī yuuñ hī saarī bahār ab ke baras
na so.e raat ko jā kar khulī huī chhat par
kiye na ham ne sitāre shumār ab ke baras
guzishta saal bhī dil be-qarār thā lekin
ajiib tarah kī uljhan hai yaar ab ke baras
kisī bhī lab pe tabassum ke gul nahīñ mahke
kisī bhī aañkh se chhalkā na pyaar ab ke baras
ye rañg kyuuñ nahīñ jachte mirī nigāhoñ meñ
ye phuul kyuuñ mujhe lagte haiñ ḳhaar ab ke baras
na jaane kis tarah logoñ ke din guzarte haiñ
kisī ke ruḳh pe nahīñ hai nikhār ab ke baras
karoge kaise 'ḳhalish' apnī be-kalī kā ilaaj
sharāb meñ bhī nahīñ hai ḳhumār ab ke baras
Top Urdushayar.com