Khalish Barodvi

hausla de de ke uncha mera sar usne kiya

Khalish Barodvi

hausla de de ke ūñchā merā sar us ne kiyā
zulm ke aage mujhe sīna-sipar us ne kiyā
pyaar se sab dushmanoñ ke dil meñ ghar us ne kiyā
dostī kā ma.arka is tarah sar us ne kiyā
jin ko piine kā salīqa thā na jiine kā shu.ūr
band un logoñ pe maiḳhāne kā dar us ne kiyā
pahle to dīvār uThā.ī shahr ke chāroñ taraf
phir usī dīvār meñ ik roz dar us ne kiyā
pahle apnā ġham thā par us kā thā ab duniyā kā hai
dhīre dhīre ek paude ko shajar us ne kiyā
kaun sī shai thī jo is dhartī ke dāman meñ na thī
phir na jaane kyuuñ ḳhalāoñ kā safar us ne kiyā
jo 'ḳhalish' vāqif na the sher-o-suḳhan ke naam se
aam un logoñ pe 'ġhālib' kā hunar us ne kiyā
Top Urdushayar.com