Ahmad Salman

jo dikh raha usi ke andar jo an-dikha hai wo shairi hai

Ahmad Salman

1964
jo dikh rahā usī ke andar jo an-dikhā hai vo shā.irī hai
jo kah sakā thā vo kah chukā huuñ jo rah gayā hai vo shā.irī hai
ye shahr saarā to raushnī meñ khilā paḌā hai so kyā likhūñ maiñ
vo duur jañgal kī jhoñpaḌī meñ jo ik diyā hai vo shā.irī hai
diloñ ke mābain guftugū meñ tamām bāteñ izāfateñ haiñ
tumhārī bātoñ kā har tavaqquf jo boltā hai vo shā.irī hai
tamām dariyā jo ek samundar meñ gir rahe haiñ to kyā ajab hai
vo ek dariyā jo rāste meñ hī rah gayā hai vo shā.irī hai
Top Urdushayar.com