jo ham pe guzre the rañj saare jo ḳhud pe guzre to log samjhe
jab apnī apnī mohabbatoñ ke azaab jhele to log samjhe
vo jin daraḳhtoñ kī chhāñv meñ se musāfiroñ ko uThā diyā thā
unhīñ daraḳhtoñ pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
us ek kachchī sī umr vaalī ke falsafe ko koī na samjhā
jab us ke kamre se laash niklī ḳhutūt nikle to log samjhe
vo ḳhvāb the hī chambeliyoñ se so sab ne hākim kī kar lī bai.at
phir ik chambelī kī oT meñ se jo saañp nikle to log samjhe
vo gaañv kā ik za.iif dahqāñ saḌak ke banñe pe kyuuñ ḳhafā thā
jab un ke bachche jo shahr jākar kabhī na lauTe to log samjhe