shabnam hai ki dhokā hai ki jharnā hai ki tum ho
dil-dasht meñ ik pyaas tamāsha hai ki tum ho
ik lafz meñ bhaTkā huā shā.ir hai ki maiñ huuñ
ik ġhaib se aayā huā misra.a hai ki tum ho
darvāza bhī jaise mirī dhaḌkan se juḌā hai
dastak hī batātī hai parāyā hai ki tum ho
ik dhuup se uljhā huā saaya hai ki maiñ huuñ
ik shaam ke hone kā bharosa hai ki tum ho
maiñ huuñ bhī to lagtā hai ki jaise maiñ nahīñ huuñ
tum ho bhī nahīñ aur ye lagtā hai ki tum ho