lagtā hai zinda rahne kī hasrat ga.ī nahīñ
mar ke bhī saañs lene kī aadat ga.ī nahīñ
shāyad ki rach ga.ī hai hamāre ḳhamīr meñ
sau baar sulh par bhī adāvat ga.ī nahīñ
aanā paḌā palaT ke hudūd o quyūd meñ
chhoḌī bahut thī phir bhī sharāfat ga.ī nahīñ
rahtī hai saath saath koī ḳhush-gavār yaad
tujh se bichhaḌ ke terī rifāqat ga.ī nahīñ
baaqī hai reze reze meñ ik irtibāt sā
yāsir bikhar ke bhī mirī vahdat ga.ī nahīñ