Khalid Iqbal Yasir

zamane ke darbar mein dast-basta hua hai

Khalid Iqbal Yasir

1952
zamāne ke darbār meñ dast-basta huā hai
ye dil us pe maa.il magar rafta rafta huā hai
achānak hī hathiyār vaale nahīñ saḳht-jāñ ne
jigar vaqt ke saath ḳhasta shikasta huā hai
kahīñ andar andar sulagtī thī chiñgārī koī
magar hādsa āḳhir-e-kār shām-e-guzishta huā hai
ka.ī baar jallād ne khīñch dekhā hai us ko
magar munjamid daar kā sard taḳhta huā hai
ḳhabar-dār rahne lagā shahryār us se 'yāsir'
qalam mere hāthoñ meñ ḳhanjar kā dasta huā hai
Top Urdushayar.com