Khalid Iqbal Yasir

koi pahle to koi baad mein ayyar hua

Khalid Iqbal Yasir

1952
koī pahle to koī baad meñ ayyār huā
apnī ḳhvāhish pe jo vābasta-e-darbār huā
ik tahī-jeb kī zaarī koī suntā kaise
raa.ij aise hī nahīñ sikka-e-dīnār huā
baat sultān se kyā taḳhliye meñ us kī huī
maslahat-kesh batāne pe na tayyār huā
muḳhbirī merī huī chashm-e-zadan meñ kaisī
qasr-e-dil hī meñ saarā thā ki mismār huā
raah meñ aa.e hue shāna-e-kohsār ke saath
abr Takrā ke jo palTā to guhar-bār havā
apnī haq-goī ke bā-vasf nigūñ-sārī par
dosh par apne mirā sar hī mujhe baar huā
haañ ye mumkin hai magar itnā zarūrī bhī nahīñ
jo koī pyaar meñ haarā vahī fankār huā
ik nazar us ne uchaTtī huī kī thī 'yāsir'
aur phir shahr meñ rahnā mujhe dushvār huā
Top Urdushayar.com