Khalid Iqbal Yasir

jo rabt meri teri nabz Dubne tak hai

Khalid Iqbal Yasir

1952
jo rabt merī tirī nabz Dūbne tak hai
mubālaġha bhī kareñ to nibāhane tak hai
mirī hī ārzū-e-dil kā sho.abada hai tū
tirā vajūd faqat sehr TūTne tak hai
irāde kitnī hī umroñ ke bāñdh rakkhe haiñ
magar nigāh kī had apne sāmne tak hai
tire mizāj kī tabdīliyoñ se vāqif huuñ
ye mehrbānī mire hoñT kholne tak hai
girah-kushā kabhī sirr-e-jamāl tujh pe bhī ho
tirī rasā.ī magar ghar ke aa.ine tak hai
palaT ke aa.e na aa.e koī sune na sune
sadā kā kaam fazāoñ meñ gūñjte tak hai
vo ek baat jo afsāna ban ga.ī 'yāsir'
kisī kā husn sarāpā sarāhne tak hai
Top Urdushayar.com