kabhī na āsūda-e-amal ho magar irāda bhī kam nahīñ hai
aur is irāde kā ūñchī āvāz meñ i.aada bhī kam nahīñ hai
shahanshah-e-vaqt aur darbārī apne suud o ziyāñ se vāqif
sarīr-ārā-e-saltanat koī ḳhānvāda bhī kam nahīñ hai
asā-e-farmāñ-ravā.ī jaadū jagā.e jis taur bhī ravā hai
rumūz-e-asrār-e-hukmarānī meñ shāhzāda bhī kam nahīñ hai
koī rakhe be-jahat safar meñ masāfatoñ kā hisāb kaise
ki tausan-e-be-zamām ko be-nishān jaada bhī kam nahīñ hai
yahī bahut hai kisī tarah se bharam hī rah jaa.e pesh duniyā
agar mayassar nahīñ hai baada ḳhayāl-e-bāda bhī kam nahīñ hai
mujh aise uftād-gāñ kī Dhāras na jaane kaise bañdhī huī hai
pahāḌ sī umr kāTne ko ye zehn-e-sāda bhī kam nahīñ hai
kisī kā khoTā nasīb 'yāsir' kise ḳhabar kis ghaḌī kharā ho
julūs-e-shāhī ke saath ik be-zabāñ piyāda bhī kam nahīñ hai