Khalid Iqbal Yasir

ghulam ki rose o shab ghulami mein kya kami thi

Khalid Iqbal Yasir

1952
ġhulām kī roz o shab ġhulāmī meñ kyā kamī thī
kanīz ke iltifāt o ḳhūbī meñ kyā kamī thī
inheñ dar-e-ḳhvāb-gāh se kis liye haTāyā
muhāfizoñ kī vafā-shi.ārī meñ kyā kamī thī
jalāl-e-gītī satāñ se darbār kāñptā thā
muqarriboñ kī mizāj-fahmī meñ kyā kamī thī
girāñ guzartā thā kyuuñ tabī.at pe saath us kā
vazīr-zāde kī nukta-sanjī meñ kyā kamī thī
nashist meñ is qadar ta.ammul ba-vaqt-e-ruḳhsat
murassā o musta.id savārī meñ kyā kamī thī
khaḌe the kyuuñ chaukīdār do-rūya neze thāme
mahl kī dīvār kī bulandī meñ kyā kamī thī
guzar na saktā thā koī ḳhvāja-sarā na bāñdī
haram ke rāzoñ kī pāsdārī meñ kyā kamī thī
na jaane sālār mutma.in kyuuñ nahīñ the 'yāsir'
sipāh ke azm o jāñ-sipārī meñ kyā kamī thī
Top Urdushayar.com