shāh-e-ālam ko sar-e-ām sunā baiThā huuñ
mere maulā tirī chaukhaT se lagā baiThā huuñ
mujhe ma.alūm haiñ ādāb-e-nashist-o-barḳhāst
tire darbār meñ ik umr uThā baiThā huuñ
isī mausam kī tamannā thī ka.ī barsoñ se
bādbāñ kholne the aur girā baiThā huuñ
bhuul jaanā thā jise sabt hai dil par mere
yaad rakhnā thā jise us ko bhulā baiThā huuñ
baat kaise maiñ karūñ aañkh milā kar us se
sāmne jis ke nigāhoñ ko jhukā baiThā huuñ
vāpsī kā koī rasta nahīñ miltā 'yāsir'
kashtiyāñ apnī maiñ pahle hī jalā baiThā huuñ