Khalid Iqbal Yasir

jaisi nigah thi teri waisa fusun hua

Khalid Iqbal Yasir

1952
jaisī nigāh thī tirī vaisā fusūñ huā
jo kuchh tire ḳhayāl meñ thā jūñ-kā-tūñ huā
bād-e-muḳhālifat jo kabhī tez-tar huī
sargarm aur bhī tirā jazb-e-darūñ huā
ḳhurshīd aap le ke chalā tujh ko saa.e saa.e
terī muvāfaqat meñ falak vāzhgūñ huā
tere tufail jaatī rahī ḳhaar se chubhan
shādābiyoñ meñ mazra.a-e-hastī fuzūñ huā
azmat kare salām tire naam kī mudām
parcham tirī vafāt ke din sar-nigūñ huā
Top Urdushayar.com