Asghar Gondvi

shikwa na chahiye ki taqaza na chahiye

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
shikva na chāhiye ki taqāzā na chāhiye
jab jaan par banī ho to kyā kyā na chāhiye
saaqī tirī nigāh ko pahchāntā huuñ maiñ
mujh se fareb-e-sāġhar-o-mīnā na chāhiye
ye āstān-e-yār hai sehn-e-haram nahīñ
jab rakh diyā hai sar to uThānā na chāhiye
ḳhud aap apnī aag meñ jalne kā lutf hai
ahl-e-tapish ko ātish-e-sīnā na chāhiye
kyā kam haiñ zauq-e-dīd kī jalva-farāziyāñ
āñkhoñ ko intizār-e-tamāshā na chāhiye
vo bārgāh-e-husn adab kā maqām hai
juz dard o ishtiyāq taqāzā na chāhiye
teġh-e-adā meñ us ke hai ik rūh-e-tāzgī
ham kushtagān-e-shauq ko mar jaanā chāhiye
hastī ke aab o rañg kī tābīr kuchh to ho
mujh ko faqat ye ḳhvāb-e-zuleḳhā na chāhiye
is ke sivā to māni-e-majnūñ bhī kuchh nahīñ
aisā bhī rabt-sūrat-e-lailā na chāhiye
Thahre agar to manzil-e-maqsūd phir kahāñ
sāġhar-ba-kaf gire to sambhalnā na chāhiye
ik jalva ḳhāl-o-ḳhat se bhī ārāsta sahī
vāmāndagi-e-zauq-e-tamāsha na chāhiye
sab ahl-e-dīd be-ḳhud o hairān o mast haiñ
koī agar nahīñ hai to parvā na chāhiye
'asġhar' sanam-parast sahī phir kisī ko kyā
ahl-e-haram ko kāvish-e-bejā na chāhiye
Top Urdushayar.com