vo naġhma bulbul-e-rañgīñ-navā ik baar ho jaa.e
kalī kī aañkh khul jaa.e chaman bedār ho jaa.e
nazar vo hai jo is kaun o makāñ se paar ho jaa.e
magar jab rū-e-tābāñ par paḌe bekār ho jaa.e
tabassum kī adā se zindagī bedār ho jaa.e
nazar se chheḌ de rag rag mirī hushyār ho jaa.e
tajallī chehra-e-zebā kī ho kuchh jām-e-rañgīñ kī
zamīñ se āsmāñ tak ālam-e-anvār ho jaa.e
tum us kāfir kā zauq-e-bandagī ab pūchhte kyā ho
jise tāq-e-haram bhī abrū-e-ḳhamdār ho jaa.e
sahar lā.egī kyā paiġhām-e-bedārī shabistāñ meñ
naqāb-e-ruḳh ulaT do ḳhud sahar bedār ho jaa.e
ye iqrār-e-ḳhudī hai dāva-e-īmān-o-dīñ kaisā
tirā iqrār jab hai ḳhud se bhī inkār ho jaa.e
nazar is husn par Thahre to āḳhir kis tarah Thahre
kabhī ḳhud phuul ban jaa.e kabhī ruḳhsār ho jaa.e
kuchh aisā dekh kar chup huuñ bahār-e-ālam-e-imkāñ
koī ik jaam pī kar jis tarah sarshār ho jaa.e
chalā jaatā huuñ hañstā kheltā mauj-e-havādis se
agar āsāniyāñ hoñ zindagī dushvār ho jaa.e