Asghar Gondvi

gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
gum kar diyā hai diid ne yuuñ sar-ba-sar mujhe
miltī hai ab unhīñ se kuchh apnī ḳhabar mujhe
nāloñ se maiñ ne aag lagā dī jahān meñ
sayyād jāntā thā faqat musht-e-par mujhe
allāh re un ke jalve kī hairat-fazā.iyāñ
ye haal hai ki kuchh nahīñ aatā nazar mujhe
maanā harīm-e-nāz kā paaya buland hai
le jā.egā uchhāl ke dard-e-jigar mujhe
aisā ki but-kade kā jise raaz ho supurd
ahl-e-haram meñ koī na aayā nazar mujhe
kyā dard-e-hijr aur ye kyā lazzat-e-visāl
is se bhī kuchh buland milī hai nazar mujhe
mast-e-shabāb vo haiñ maiñ sarshār-e-ishq huuñ
merī ḳhabar unheñ hai na un kī ḳhabar mujhe
jab asl is majāz o haqīqat kī ek hai
phir kyuuñ phirā rahe haiñ idhar se udhar mujhe
Top Urdushayar.com