Asghar Gondvi

tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
tire jalvoñ ke aage himmat-e-sharh-o-bayāñ rakh dī
zabān-e-be-nigah rakh dī nigāh-e-be-zabāñ rakh dī
miTī jaatī thī bulbul jalva-e-gul-hā-e-rañgīñ par
chhupā kar kis ne in pardoñ meñ barq-e-āshiyāñ rakh dī
niyāz-e-ishq ko samjhā hai kyā ai vā.iz-e-nādān
hazāroñ ban ga.e ka.abe jabīñ maiñ ne jahāñ rakh dī
qafas kī yaad meñ ye iztirāb-e-dil ma.āz-allāh
ki maiñ ne toḌ kar ek ek shāḳh-e-āshiyāñ rakh dī
karishme husn ke pinhāñ the shāyad raqs-e-bismil meñ
bahut kuchh soch kar zālim ne teġh-e-ḳhūñ-fishāñ rakh dī
ilāhī kyā kiyā tū ne ki aalam meñ talātum hai
ġhazab kī ek musht-e-ḳhāk zer-e-āsmāñ rakh dī
Top Urdushayar.com