āshob-e-husn kī bhī koī dāstāñ rahe
miTne ko yuuñ miTeñ ki abad tak nishāñ rahe
tauf-e-haram meñ yā sar-e-kū-e-butāñ rahe
ik barq-e-iztirāb rahe ham jahāñ rahe
un kī tajalliyoñ kā bhī koī nishāñ rahe
har zarra merī ḳhaak kā ātish-ba-jāñ rahe
kyā kyā haiñ dard-e-ishq kī fitna-tarāziyāñ
ham iltifāt-e-ḳhās se bhī bad-gumāñ rahe
mere sarishk-e-ḳhūñ meñ hai rañgīni-e-hayāt
yā rab fazā-e-husn abad tak javāñ rahe
maiñ rāzdār-e-husn huuñ tum rāzdār-e-ishq
lekin ye imtiyāz bhī kyuuñ darmiyāñ rahe