Asghar Gondvi

samne un ke taDap kar is tarah fariyaad ki

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
sāmne un ke taḌap kar is tarah fariyād kī
maiñ ne puurī shakl dikhlā dī dil-e-nāshād kī
ab yahī hai vaj.h-e-taskīñ ḳhātir-e-nāshād kī
zindagī maiñ ne dayār-e-husn meñ barbād kī
hosh par bijlī girī āñkheñ bhī ḳhīra ho ga.iiñ
tum to kyā the ik jhalak sī thī tumhārī yaad kī
chal diyā majnūñ to sahrā se kisī jānib magar
ik sadā gūñjī huī hai naala o fariyād kī
naġhma-e-pur-dard chheḌā maiñ ne is andāz se
ḳhud-ba-ḳhud mujh par nazar paḌne lagī sayyād kī
dil huā majbūr jis dam ashk-e-hasrat ban gayā
ruuh jab taḌpī to sūrat ban ga.ī fariyād kī
is harīm-e-quds meñ kyā lafz o ma.anī kā guzar
phir bhī sab bāteñ pahuñchtī haiñ lab-e-fariyād kī
tamtamā uThe vo aariz mere arz-e-shauq par
husn jaag uThā vahīñ jab ishq ne fariyād kī
āshiyāñ meñ ab kisī sūrat nahīñ paḌtā hai chain
thī nazar tāsīr meñ Duubī huī sayyād kī
sher meñ rañgīni-e-josh-e-taḳhayyul chāhiye
mujh ko 'asġhar' kam hai aadat naala o fariyād kī
Top Urdushayar.com