Asghar Gondvi

ishq hai ek kaif-e-pinhani magar ranjur hai

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
ishq hai ik kaif-e-pinhānī magar ranjūr hai
husn-e-be-pardā nahīñ hotā magar dastūr hai
ḳhastagī ne kar diyā us ko rag-e-jāñ se qarīb
justujū zālim kahe jaatī thī manzil duur hai
le isī zulmat-kade meñ us se mahrūmī kī daad
us se aage ai dil-e-muztar hijāb-e-nūr hai
lab pe mauj-e-husn jab chamke tabassum naam ho
rabbī-arenī kah ke chīḳh uThūñ tū barq-e-tūr hai
nuur āñkhoñ meñ usī kā jalva ḳhud nūr-e-muhīt
diid kyā hai kuchh talātum meñ hujūm-e-nūr hai
aañkh hai jab mahv-e-hairat to numāyāñ hai vahī
fikr ho jab kār-farmā to vahī mastūr hai
dekhtā huuñ maiñ ki hai bahr-e-haqīqat josh par
jo hubāb uTh uTh ke miTtā hai sar-e-mansūr hai
Top Urdushayar.com