Asghar Gondvi

jaan-e-nashat husn ki duniya kahen jise

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
jān-e-nashāt husn kī duniyā kaheñ jise
jannat hai ek ḳhūn-e-tamannā kaheñ jise
us jalva-gāh-e-husn meñ chhāyā hai har taraf
aisā hijāb chashm-e-tamāshā kaheñ jise
ye asl zindagī hai ye jān-e-hayāt hai
husn-e-mazāq shorish-e-saudā kaheñ jise
mere vida-e-hosh ko itnā bhī hai bahut
ye aab o rañg husn kā parda kaheñ jise
aksar rahā hai husn-e-haqīqat bhī sāmne
ik mustaqil sarāb-e-tamannā kaheñ jise
ab tak tamām fikr o nazar par muhīt hai
shakl-e-sifāt māni-e-ashiyā kaheñ jise
har mauj kī vo shaan hai jām-e-sharāb meñ
barq-e-fazā-e-vadi-e-sīnā kaheñ jise
zindāniyoñ ko aa ke na chheḌā kare bahut
jān-e-bahār nik.hat-e-rusvā kaheñ jise
is haul-e-dil se garm-rau-e-arsa-e-vajūd
merā hī kuchh ġhubār hai duniyā kaheñ jise
sarmastiyoñ meñ shīsha-e-mai le ke haath meñ
itnā uchhāl deñ ki surayyā kaheñ jise
shāyad mire sivā koī us ko samajh sake
vo rabt-e-ḳhās ranjish-e-bejā kaheñ jise
merī nigāh-e-shauq pe ab tak hai mun.akis
husn-e-ḳhayāl shāhid-e-zebā kaheñ jise
dil jalva-gāh-e-husn banā faiz-e-ishq se
vo daaġh hai ki shāhid-e-rānā kaheñ jise
'asġhar' na kholnā kisī hikmat-ma.āb par
rāz-e-hayāt sāġhar o miinā kaheñ jise
Top Urdushayar.com