hai dil-e-nākām-e-āshiq meñ tumhārī yaad bhī
ye bhī kyā ghar hai ki hai barbād bhī ābād bhī
dil ke miTne kā mujhe kuchh aur aisā ġham nahīñ
haañ magar itnā ki hai is meñ tumhārī yaad bhī
kis ko ye samjhā.iye nairañg-e-kār-e-āshiqī
tham ga.e ashk-e-musalsal ruk ga.ī fariyād bhī
siine meñ dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gayā
ab vo hālat hai ki kar sakte nahīñ fariyād bhī
phaaḌ Dālūñgā garebāñ phoḌ lūñgā apnā sar
hai mire āfat-kade meñ qais bhī farhād bhī
kuchh to 'asġhar' mujh meñ hai qaa.im hai jis se zindagī
jaan bhī kahte haiñ us ko aur un kī yaad bhī