maujoñ kā aks hai ḳhat-e-jām-e-sharāb meñ
yā ḳhuun uchhal rahā hai rag-e-māhtāb meñ
vo maut ki kahte haiñ jis ko sukūn sab
vo ain zindagī hai jo hai iztirāb meñ
dozaḳh bhī ek jalva-e-fidaus-e-husn hai
jo us se be-ḳhabar hai vahī hai azaab meñ
us din bhī merī ruuh thī mahv-e-nashāt-e-dīd
muusā ulajh ga.e the savāl o javāb meñ
maiñ iztirāb-e-shauq kahūñ yā jamāl-e-dost
ik barq hai jo kauñdh rahī hai naqāb meñ