garm-e-talāsh-o-justujū ab hai tirī nazar kahāñ
ḳhuun hai kuchh jamā huā qalb kahāñ jigar kahāñ
hai ye tarīq-e-āshiqī chāhiye is meñ be-ḳhudī
is meñ chunāñ-chunīñ kahāñ is meñ agar magar kahāñ
zulf thī jo bikhar ga.ī ruḳh thā ki jo nikhar gayā
haa.e vo shaam ab kahāñ haa.e vo ab sahar kahāñ
kījiye aaj kis tarah dauḌ ke sajda-e-niyāz
ye bhī to hosh ab nahīñ paañv kahāñ hai sar kahāñ
haa.e vo din guzar ga.e joshish-e-iztirāb ke
niind qafas meñ aa ga.ī ab ġham-e-bāl-o-par kahāñ
hosh o ḳhirad ke phere meñ umr-e-azīz sarf kī
raat to kaT ga.ī yahāñ dekhiye ho sahar kahāñ