Asghar Gondvi

pas-e-adab mein josh-e-tamanna liye hue

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
pās-e-adab meñ josh-e-tamannā liye hue
maiñ bhī huuñ ik hubāb meñ dariyā liye hue
rag rag meñ aur kuchh na rahā juz ḳhayāl-e-dost
us shoḳh ko huuñ aaj sarāpā liye hue
sarmāya-e-hayāt hai hirmān-e-āshiqī
hai saath ek sūrat-e-zebā liye hue
josh-e-junūñ meñ chhūT gayā āstān-e-yār
rote haiñ muñh meñ dāman-e-sahrā liye hue
'asġhar' hujūm-e-dard-e-ġharībī meñ us kī yaad
aa.ī hai ek tilismī tamannā liye hue
Top Urdushayar.com