Asghar Gondvi

koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
koī mahmil-nashīñ kyuuñ shaad yā nāshād hotā hai
ġhubār-e-qais ḳhud uThtā hai ḳhud barbād hotā hai
qafas kyā halqa-hā-e-dām kyā ranj-e-asīrī kyā
chaman par miT gayā jo har tarah āzād hotā hai
ye sab na-āshnā-e-lazzat-e-parvāz haiñ shāyad
asīroñ meñ abhī tak shikva-e-sayyād hotā hai
bahār-e-sabza-o-gul hai karam hotā hai saaqī kā
javāñ hotī hai duniyā mai-kada ābād hotā hai
banā letā hai mauj-e-ḳhūn-e-dil se ik chaman apnā
vo pāband-e-qafas jo fitratan āzād hotā hai
bahār anjām samjhūñ is chaman kā yā ḳhizāñ samjhūñ
zabān-e-barg-e-gul se mujh ko kyā irshād hotā hai
azal meñ ik tajallī se huī thī be-ḳhudī taarī
tumhīñ ko maiñ ne dekhā thā kuchh aisā yaad hotā hai
samā.e jā rahe haiñ ab vo jalve diida o dil meñ
ye nazzāra hai yā zauq-e-nazar barbād hotā hai
zamāna hai ki ḳhūgar ho rahā hai shor o shevan kā
yahāñ vo dard jo be-nāla-o-fariyād hotā hai
yahāñ kotāhi-e-zauq-e-amal hai ḳhud giraftārī
jahāñ baazū simaTte haiñ vahīñ sayyād hotā hai
yahāñ mastoñ ke sar ilzām-e-hastī hī nahīñ 'asġhar'
phir is ke baad har ilzām be-buniyād hotā hai
Top Urdushayar.com