jo naqsh hai hastī kā dhokā nazar aatā hai
parde pe musavvir hī tanhā nazar aatā hai
nairañg-e-tamāshā vo jalva nazar aatā hai
āñkhoñ se agar dekho parda nazar aatā hai
lau sham-e-haqīqat kī apnī hī jagah par hai
fānūs kī gardish se kyā kyā nazar aatā hai
ai parda-nashīñ zid hai kyā chashm-e-tamannā ko
tū daftar-e-gul meñ bhī rusvā nazar aatā hai
nazzāra bhī ab gum hai be-ḳhud hai tamāshā.ī
ab kaun kahe is ko jalva nazar aatā hai
jo kuchh thī yahāñ raunaq sab bād-e-chaman se thī
ab kunj-e-qafas mujh ko suunā nazar aatā hai
ehsās meñ paidā hai phir rañg-e-gulistānī
phir daaġh koī dil meñ taaza nazar aatā hai
thī fard-e-amal 'asġhar' kyā dast-e-mashiyyat meñ
ik ek varaq is kā saadā nazar aatā hai