Asghar Gondvi

masti mein farogh-e-ruKH-e-jaanan nahin dekha

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
mastī meñ faroġh-e-ruḳh-e-jānāñ nahīñ dekhā
sunte haiñ bahār aa.ī gulistāñ nahīñ dekhā
zāhid ne mirā hāsil-e-īmāñ nahīñ dekhā
ruḳh par tirī zulfoñ ko pareshāñ nahīñ dekhā
aa.e the sabhī tarah ke jalve mire aage
maiñ ne magar ai dīda-e-hairāñ nahīñ dekhā
is tarah zamāna kabhī hotā na pur-āshob
fitnoñ ne tirā gosha-e-dāmāñ nahīñ dekhā
har haal meñ bas pesh-e-nazar hai vahī sūrat
maiñ ne kabhī rū-e-shab-e-hijrāñ nahīñ dekhā
kuchh dāva-e-tamkīñ meñ hai māzūr bhī zāhid
mastī meñ tujhe chāk-garebāñ nahīñ dekhā
rūdād-e-chaman suntā huuñ is tarah qafas meñ
jaise kabhī āñkhoñ se gulistāñ nahīñ dekhā
mujh ḳhasta o mahjūr kī āñkheñ haiñ tarastī
kab se tujhe ai sarv-ḳhirāmāñ nahīñ dekhā
kyā kyā huā hañgām-e-junūn ye nahīñ mālūm
kuchh hosh jo aayā to garebāñ nahīñ dekhā
shā.ista-e-sohbat koī un meñ nahīñ 'asġhar'
kāfir nahīñ dekhe ki musalmāñ nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com