Asghar Gondvi

husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
husn ko vus.ateñ jo diiñ ishq ko hausla diyā
jo na mile na miT sake vo mujhe mudda.ā diyā
haath meñ le ke jām-e-mai aaj vo muskurā diyā
aql ko sard kar diyā ruuh ko jagmagā diyā
dil pe liyā hai dāġh-e-ishq kho ke bahār-e-zindagī
ik gul-e-tar ke vāste maiñ ne chaman luTā diyā
lazzat-e-dard-e-ḳhastagī daulat-e-dāman-tahī
toḌ ke saare hausle ab mujhe ye silā diyā
kuchh to kaho ye kyā huā tum bhī the saath saath kyā
ġham meñ ye kyuuñ surūr thā dard ne kyuuñ mazā diyā
ab na ye merī zaat hai ab na ye kā.enāt hai
maiñ ne navā-e-ishq ko saaz se yuuñ milā diyā
aks jamāl-e-yār kā ā.ina-e-ḳhudī meñ hai
ye ġham-e-hijr kyā diyā mujh se mujhe chhupā diyā
hashr meñ āftāb-e-hashr aur vo shor-e-al-amāñ
'asġhar'-e-but-parast ne zulf kā vāstā diyā
Top Urdushayar.com