mai-e-be-rañg kā sau rañg se rusvā honā
kabhī mai-kash kabhī saaqī kabhī miinā honā
az azal tā-ba abad mahv-e-tamāshā honā
maiñ vo huuñ jisko na marnā hai na paidā honā
saare aalam meñ hai betābī o shorish barpā
haa.e us shoḳh kā ham-shakl-e-tamannā honā
fasl-e-gul kyā hai ye merāj hai aab o gil kī
merī rag rag ko mubārak rag-e-saudā honā
keh ke kuchh laala o gul rakh liyā parda maiñ ne
mujhse dekhā na gayā husn kā rusvā honā
jalva-e-husn ko hai chashm-e-tahayyur kī talab
kis kī qismat meñ hai mahrūm-e-tamāshā honā
dahr hī se vo numāyāñ bhī hai pinhāñ bhī hai
jaise sahbā ke liye parda-e-mīnā honā
terī shoḳhī terī nairañg adaa.ī ke nisār
ik na.ī jaan hai tajdīd-e-tamannā honā
husn ke saath hai begāna-nigāhī kā maza
qahr hai qahr magar arz-e-tamannā honā
is se baḌh kar koī be-rāh-ravī kyā hogī
gām-e-pur-shauq kā manzil se shanāsā honā
mā.il-e-sher-o-ġhazal phir hai tabī.at 'asġhar'
abhī kuchh aur muqaddar meñ hai rusvā honā