yuuñ na māyūs ho ai shorish-e-nākām abhī
merī rag rag meñ hai ik ātish-e-benām abhī
āshiqī kyā hai har ik shai se tahī ho jaanā
us se milne kī hai dil meñ havas-e-ḳhām abhī
intihā kaif kī uftādgī o pastī hai
mujh se kahtā thā yahī durd-e-tah-e-jām abhī
ilm o hikmat kī tamannā hai na kaunain kā ġham
mere shīshe meñ hai baaqī mai-e-gulfām abhī
sab maze kar diye ḳhurshīd-e-qayāmat ne ḳharāb
merī āñkhoñ meñ thā ik rū-e-dilārām abhī
bulbul-e-zār se go sehn-e-chaman chhūT gayā
us ke siine meñ hai ik shola-e-gulfām abhī