ālām-e-rozgār ko āsāñ banā diyā
jo ġham huā use ġham-e-jānāñ banā diyā
maiñ kāmyāb-e-dīd bhī mahrūm-e-dīd bhī
jalvoñ ke izhdihām ne hairāñ banā diyā
yuuñ muskurā.e jaan sī kaliyoñ meñ paḌ ga.ī
yuuñ lab-kushā hue ki gulistāñ banā diyā
kuchh shorishoñ kī nazr huā ḳhūn-e-āshiqāñ
kuchh jam ke rah gayā use hirmāñ banā diyā
ai shaiḳh vo basīt haqīqat hai kufr kī
kuchh qaid-e-rasm ne jise īmāñ banā diyā
kuchh aag dī havas meñ to tāmīr-e-ishq kī
jab ḳhaak kar diyā use irfāñ banā diyā
kyā kyā quyūd dahr meñ haiñ ahl-e-hosh ke
aisī fazā-e-sāf ko zindāñ banā diyā
ik barq thī zamīr meñ fitrat ke maujzan
aaj us ko husn o ishq kā sāmāñ banā diyā
majbūri-e-hayāt meñ rāz-e-hayāt hai
zindāñ ko maiñ ne rauzan-e-zindāñ banā diyā
vo shorisheñ nizām-e-jahāñ jin ke dam se hai
jab muḳhtasar kiyā unheñ insāñ banā diyā
ham us nigāh-e-nāz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskurā ke rag-e-jāñ banā diyā
bulbul ba-āh-o-nāla va gul mast-e-rañg-o-bū
mujh ko shahīd-e-rasm-e-gulistāñ banā diyā
kahte haiñ ik fareb-e-musalsal hai zindagī
us ko bhī vaqf-e-hasrat-o-hirmāñ banā diyā
aalam se be-ḳhabar bhī huuñ aalam meñ bhī huuñ maiñ
saaqī ne is maqām ko āsāñ banā diyā
us husn-e-kārobār ko mastoñ se pūchhiye
jis ko fareb-e-hosh ne isyāñ banā diyā