Asghar Gondvi

ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
ye kyā kahā ki ġham-e-ishq nāgavār huā
mujhe tū jur.a-e-talḳh aur sāzgār huā
sarishk-e-shauq kā vo ek qatra-e-nāchīz
uchhālnā thā ki ik bahar-e-be-kanār huā
adā-e-ishq kī tasvīr khiñch ga.ī puurī
vufūr-e-josh se yuuñ husn be-qarār huā
bahut latīf ishāre the chashm-e-sāqī ke
na maiñ huā kabhī be-ḳhud na hushyār huā
liye phirī nigah-e-shauq saare aalam meñ
bahut hī jalva-e-husn aaj be-qarār huā
jahāñ bhī merī nigāhoñ se ho chalā mādūm
are baḌā ġhazab ai chashm sehr-kār huā
mirī nigāhoñ ne jhuk jhuk ke kar diye sajde
jahāñ jahāñ se taqāzā-e-husn-e-yār huā
Top Urdushayar.com