Asghar Gondvi

KHuda jaane kahan hai asghar-e-diwana barson se

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
ḳhudā jaane kahāñ hai 'asġhar'-e-dīvāna barsoñ se
ki us ko DhūñDhte haiñ kaaba o but-ḳhāna barsoñ se
taḌapnā hai na jalnā hai na jal kar ḳhaak honā hai
ye kyuuñ soī huī hai fitrat-e-parvāna barsoñ se
koī aisā nahīñ yā rab ki jo is dard ko samjhe
nahīñ mālūm kyuuñ ḳhāmosh hai dīvāna barsoñ se
kabhī soz-e-tajallī se use nisbat na thī goyā
paḌī hai is tarah ḳhākistar-e-parvāna barsoñ se
tire qurbān saaqī ab vo mauj-e-zindagī kaisī
nahīñ dekhī adā-e-laġhzish-e-mastāna barsoñ se
mirī rindī ajab rindī mirī mastī ajab mastī
ki sab TuuTe paḌe haiñ shīsha o paimāna barsoñ se
hasīnoñ par na rañg aayā na phūloñ meñ bahār aa.ī
nahīñ aayā jo lab par naġhma-e-mastāna barsoñ se
khulī āñkhoñ se huuñ husn-e-haqīqat dekhne vaalā
huī lekin na taufīq-e-dar-e-but-ḳhāna barsoñ se
libās-e-zohad par phir kaash nazr-e-ātish-e-sahbā
kahāñ khoī huī hai jur.at-e-rindāna barsoñ se
jise lenā ho aa kar us se ab dars-e-junūñ le le
sunā hai hosh meñ hai 'asġhar'-e-dīvāna barsoñ se
Top Urdushayar.com