Asghar Gondvi

majaz kaisa kahan haqiqat abhi tujhe kuchh KHabar nahin hai

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
majāz kaisā kahāñ haqīqat abhī tujhe kuchh ḳhabar nahīñ hai
ye sab hai ik ḳhvāb kī sī hālat jo dekhtā hai sahar nahīñ hai
shamīm-e-gulshan nasīm-e-sahrā shuā-e-ḳhurshīd mauj-e-dariyā
har ek garm-e-safar hai in meñ merā koī ham-safar nahīñ hai
nazar meñ vo gul samā gayā hai tamām hastī pe chhā gayā hai
chaman meñ huuñ yā qafas meñ huuñ maiñ mujhe ab is kī ḳhabar nahīñ hai
chamak damak par miTā huā hai ye bāġhbāñ tujhko kyā huā hai
fareb-e-shabnam meñ mubtalā hai chaman kī ab tak ḳhabar nahīñ hai
ye mujh se sun le to rāz-e-pinhāñ salāmtī ḳhud hai dushman-e-jāñ
kahāñ se rāh-rau meñ zindagī ho ki raah jab pur-ḳhatar nahīñ hai
maiñ sar se pā tak huuñ mai-parastī tamām shorish tamām mastī
khulā hai mujh par ye rāz-e-hastī ki mujh ko kuchh bhī ḳhabar nahīñ hai
havā ko mauj-e-sharāb kar de fazā ko mast o ḳharāb kar de
ye zindagī ko shabāb kar de nazar tumhārī nazar nahīñ hai
paḌā hai kyā us ke dar pe 'asġhar' vo shoḳh maa.il hai imtihāñ par
subūt de zindagī kā mar kar niyāz ab kārgar nahīñ hai
Top Urdushayar.com