zauq-e-sarmastī ko mahv-e-rū-e-jānāñ kar diyā
kufr ko is tarah chamkāyā ki īmāñ kar diyā
tū ne ye ejaaz kyā ai soz-e-pinhāñ kar diyā
is tarah phūñkā ki āḳhir jism ko jaañ kar diyā
jis pe merī justujū ne Daal rakkhe the hijāb
be-ḳhudī ne ab use mahsūs o uryāñ kar diyā
kuchh na ham se ho sakā is iztirāb-e-shauq meñ
un ke dāman ko magar apnā garebāñ kar diyā
go nahīñ rahtā kabhī parde meñ rāz-e-āshiqī
tum ne chhup kar aur bhī us ko numāyāñ kar diyā
rakh diye dair o haram sar mārne ke vāste
bandagī ko be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ kar diyā
āriz-e-nāzuk pe un ke rañg sā kuchh aa gayā
in guloñ ko chheḌ kar ham ne gulistāñ kar diyā
in butoñ kī sūrat-e-zebā ko 'asġhar' kyā kahūñ
par ḳhudā ne vaa.e nākāmī musalmāñ kar diyā