Asghar Gondvi

mata-e-zist kya hum zist ka hasil samajhte hain

Asghar Gondvi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1884-1936
matā-e-zīst kyā ham ziist kā hāsil samajhte haiñ
jise sab dard kahte haiñ use ham dil samajhte haiñ
isī se dil isī se zindagi-e-dil samajhte haiñ
magar hāsil se baḌh kar sa.i-e-be-hāsil samajhte haiñ
kabhī sunte the ham ye zindagī hai vahm o be-ma.anī
magar ab maut ko bhī ḳhatra-e-bātil samajhte haiñ
bahut samjhe hue hai sheḳh rāh-o-rasm-e-manzil ko
yahāñ manzil ko bhī ham jāda-e-manzil samajhte haiñ
ubharnā ho jahāñ jī chāhtā hai Duub marne ko
jahāñ uThtī hoñ maujeñ ham vahāñ sāhil samajhte haiñ
koī sargashtā-e-rāh-e-tarīqat is ko kyā jaane
yahāñ uftādgī ko hāsil-e-manzil samajhte haiñ
tamāshā hai niyāz o naaz kī bāham kashākash kā
maiñ un kā dil samajhtā huuñ vo merā dil samajhte haiñ
abas hai dāva-e-ishq-o-mohabbat ḳhām-kāroñ ko
ye ġham dete haiñ jis ko jauhar-e-qābil samajhte haiñ
ġham-e-lā-intihā sa.i-e-musalsal shauq-e-be-pāyāñ
maqām apnā samajhte haiñ na ham manzil samajhte haiñ
Top Urdushayar.com