ye ishq ne dekhā hai ye aql se pinhāñ hai
qatre meñ samundar hai zarre meñ bayābāñ hai
hai ishq ki mahshar meñ yuuñ mast o ḳhirāmāñ hai
dozaḳh ba-garebāñ hai firdaus ba-dāmāñ hai
hai ishq kī shorish se rānā.ī o zebā.ī
jo ḳhuun uchhaltā hai vo rañg-e-gulistāñ hai
phir garm-e-navāzish hai zau mehr-e-daraḳhshāñ kī
phir qatra-e-shabnam meñ hañgāma-e-tūfāñ hai
ai paikar-e-mahbūbī maiñ kis se tujhe dekhūñ
jis ne tujhe dekhā hai vo dīda-e-hairāñ hai
sau baar tirā dāman hāthoñ meñ mire aayā
jab aañkh khulī dekhā apnā hī garebāñ hai
ik shorish-e-be-vasl ik ātish-e-be-parda
āfat-kada-e-dil meñ ab kufr na īmāñ hai
dhokā hai ye nazroñ kā bāzīcha hai lazzat kā
jo kunj qafas meñ thā vo asl gulistāñ hai
ik ġhuncha-e-afsurda ye dil kī haqīqat thī
ye maujzanī ḳhuuñ kī rañgīni-e-paikāñ hai
ye husn kī maujeñ haiñ yā josh-e-tabassum hai
us shoḳh ke hoñToñ par ik barq sī larzāñ hai
'asġhar' se mile lekin 'asġhar' ko nahīñ dekhā
ash.ār meñ sunte haiñ kuchh kuchh vo numāyāñ hai