jiine kā na kuchh hosh na marne kī ḳhabar hai
ai shobada-pardāz ye kyā tarz-e-nazar hai
siine meñ yahāñ dil hai na pahlū meñ jigar hai
ab kaun hai jo tishna-e-paikān-e-nazar hai
hai tābish-e-anvār se aalam tah-o-bālā
jalva vo abhī tak tah-e-dāmān-e-nazar hai
kuchh milte haiñ ab puḳhtagi-e-ishq ke āsār
nāloñ meñ rasā.ī hai na aahoñ meñ asar hai
zarroñ ko yahāñ chain na ajrām-e-falak ko
ye qāfila be-tāb kahāñ garm-e-safar hai
ḳhāmosh ye hairat-kada-e-dahr hai 'asġhar'
jo kuchh nazar aatā hai vo sab tarz-e-nazar hai