Aslam Habeeb

koi gulab yahan par khila ke dekhte hain

Aslam Habeeb

koī gulāb yahāñ par khilā ke dekhte haiñ
chalo ḳharāba-e-jāñ ko sajā ke dekhte haiñ
jahāñ ko bhuul ke tum ko bhulā ke dekhte haiñ
ab apne aap ko dil se lagā ke dekhte haiñ
bigaḌ ga.e the jise sun ke vaqt ke tevar
jahāñ ko baat vahī phir sunā ke dekhte haiñ
kabhī kisī kā bhī ehsāñ nahīñ liyā ham ne
ab apne sar pe ye ehsāñ uThā ke dekhte haiñ
bahut dinoñ se koī baat kaam kī na huī
chalo falak ko zamīñ par bichhā ke dekhte haiñ
nazar nazar to ka.ī baar paḌh chuke us ko
ġhazal ko aaj zarā gungunā ke dekhte haiñ
zamāna ham pe bahut der hañs chukā 'aslam'
chalo ab us kī hañsī bhī uḌā ke dekhte haiñ
Top Urdushayar.com