ham diloñ ke qurb kā muñh dekhte rah jā.eñge
yaad rah jā.egī yā kuchh ḳhvāb se rah jā.eñge
is tazabzub meñ mirī mehnat akārat jā.egī
ḳhud hī vo aa jā.eñge aur ḳhat likhe rah jā.eñge
ham fasīl-e-āb-o-gil meñ dar banāne ke liye
vaqt ke tah-ḳhāne meñ sar pīTte rah jā.eñge
apne chehre takte takte phir sahar ho jā.egī
kyā kaheñ ik dūsre ko sochte rah jā.eñge
vo mirā ho jā.egā ai 'shāh' āḳhir ek din
sochtā huuñ phir bhī us se kuchh gile rah jā.eñge