yahī ik baat saaqī ko batāne kī zarūrat hai
hamāre qurb meñ ik bāda-ḳhāne kī zarūrat hai
kahāñ jaa.eñ tire mastāne ai saaqī kahāñ jaa.eñ
tire hī saa.e meñ mastoñ ko aane kī zarūrat hai
ḳhudā ke sāmne sar ko uThāne se hai kyā hāsil
ḳhudā ke sāmne sar ko jhukāne kī zarūrat hai
ghaTā.eñ ghir ke aa.ī haiñ sar-e-mai-ḳhāna ai saaqī
hameñ ab jaam bhar bhar kar pilāne kī zarūrat hai
jo haiñ maare hue rañj-o-ġham-o-ālām ke ai 'rāz'
unheñ mai-ḳhāne meñ ik jaam uThāne kī zarūrat hai