Raaz Layalpuri

tera kya jata jo milta jam-e-rehani mujhe

Raaz Layalpuri

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1920
terā kyā jaatā jo miltā jām-e-rehānī mujhe
mai ke badle sāqiyā tū ne diyā paanī mujhe
mai-gusārī meñ vo ab pahlī sī kaifiyyat nahīñ
de diyā saaqī ne kyā be-kaif sā paanī mujhe
ab kisī mashrūb se dil chain pā saktā nahīñ
kaash vo aa ke pilā de teġh kā paanī mujhe
de diyā saaqī ne bhar kar mujh ko bhī jām-e-sharāb
maiñ to kahtā hī rahā paanī mujhe paanī mujhe
us ko jānūñ yaar muḳhlis us ko mānūñ ġham-gusār
jo pilā de rañj meñ kulfat-rubā paanī mujhe
chal paḌīñ sāñseñ dhaḌakne lag ga.iiñ nabz-e-hayāt
kyā kisī ne de diyā añgūr kā paanī mujhe
vo tap-e-ġham hai ki sūkhe haiñ lab-o-kām-o-dahan
kaash aa kar vo pilā.eñ diid kā paanī mujhe
pī rahā huuñ shauq se ai 'rāz' jis ko aaj tak
ek din āḳhir Dubo degā vahī paanī mujhe
Top Urdushayar.com