Raaz Layalpuri

madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi

Raaz Layalpuri

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1920
mad.hoshiyoñ se kaam liyā hai kabhī kabhī
haath un kā ham ne thaam liyā hai kabhī kabhī
mai-kash bhulā sakeñge na saaqī kā ye karam
girtoñ ko us ne thaam liyā hai kabhī kabhī
saaqī ne jo pilā.ī hamārī hī thī ḳharīd
ham se bhī us ne daam liyā hai kabhī kabhī
kyā baat hai ki tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
ham ne tumhārā naam liyā hai kabhī kabhī
ai fart-e-shauq ham ne tasavvur ke faiz se
nazzāra un kā aam liyā hai kabhī kabhī
Thukrātā kaise husn kī is pesh-kash ko maiñ
majbūr ho ke jaam liyā hai kabhī kabhī
dekhā kabhī nahīñ unheñ ai 'rāz' bazm meñ
jalva kanār-e-bām liyā hai kabhī kabhī
Top Urdushayar.com