Ali Qaisar

aankh ke goshe ho kar nam aabaad hue

Ali Qaisar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1996
aañkh ke goshe ho kar nam ābād hue
dil kī bastī ke sab ġham ābād hue
jaise ik dariyā chūme sahrāoñ ko
tere lams pe aise ham ābād hue
kis ne chhū kar ham ko hosh dilāyā hai
kis ke chhūne se phir ham ābād hue
dīvāreñ darvāze aur ham dīvāne
sun kar paa.el kī chham-chham ābād hue
dil ne terā naam liyā sarshārī meñ
sāñsoñ ke vīrān ridham ābād hue
Top Urdushayar.com