kam se kam aarzī nahīñ hogī
maut itnī burī nahīñ hogī
itnī chhoTī hai kā.enāt mujhe
khul ke āvārgī nahīñ hogī
diin meñ jabr ko ravā rakhnā
maz.habī ḳhud-kushī nahīñ hogī
sab pe tanqīs kar rahā hai vo
us se ab shā.irī nahīñ hogī
hifz kar lūñgā maiñ badan us kā
jeb meñ diary nahīñ hogī
sab tamannā.eñ puurī karnī haiñ
tū batā kaun sī nahīñ hogī
sab ko sab kuchh milegā jannat meñ
bas vahāñ zindagī nahīñ hogī
ab jo chamkegī dekh kar us ko
bhuuk vo jism kī nahīñ hogī
vaqt muTThī meñ hogā tab tire paas
haath par jab ghaḌī nahīñ hogī
kah diyā naañ vo merā maazī thā
is pe ab baat bhī nahīñ hogī
jhiil kī dāstān ḳhatm huī
chāñd hogā parī nahīñ hogī