Ali Qaisar

baDhti jati hai pyas aankhon ki

Ali Qaisar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1996
baḌhtī jaatī hai pyaas āñkhoñ kī
baat samjho udaas āñkhoñ kī
ik ishārā hai mast nazroñ kā
ik nishānī hai ḳhaas āñkhoñ kī
tere chhāle mujhe batāte haiñ
tū ne chakh lī miThās āñkhoñ kī
sab ko har vaqt ghūrtī haiñ ye
koī to le class āñkhoñ kī
ashk-rezī maiñ kartā rahtā huuñ
taaki nikle bhaḌās āñkhoñ kī
tum zarā us taraf nigāh karo
lau sambhālegā daas āñkhoñ kī
maañ kī bīnā.ī bujh ga.ī lekin
TūTtī kab hai aas āñkhoñ kī
Top Urdushayar.com