Ali Qaisar

jahan koi nahin hota hai wahan chiKHta hai

Ali Qaisar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1996
jahāñ koī nahīñ hotā hai vahāñ chīḳhtā hai
ye mirā dost mire saath kahāñ chīḳhtā hai
chup hī rahne kī tamannā tire darvesh ko hai
varna jis shaḳhs ko miltā hai ziyāñ chīḳhtā hai
ba.az auqāt jo cigarette maiñ kuchal detā huuñ
adh-jale soḳhta cigarette kā dhuāñ chīḳhtā hai
jab kabhī sher meñ laane kī tujhe koshish ho
lafz siskāriyāñ bharte haiñ gumāñ chīḳhtā hai
apne 'sarvat' kī kahānī se nahīñ vāqif tum
naam se is ke station bhī miyāñ chīḳhtā hai
Top Urdushayar.com