Ali Qaisar

daraKHt mujhko nai kahani suna rahe hain

Ali Qaisar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1996
daraḳht mujh ko na.ī kahānī sunā rahe haiñ
ki ye parinde ga.e dinoñ meñ ḳhudā rahe haiñ
maiñ kuchh dinoñ meñ ḳhudā se milne ko jā rahā huuñ
mujhe lakīroñ ko paḌhne vaale batā rahe haiñ
tamām shahroñ ko dushmanoñ ne bachā liyā hai
mire sipāhī bas apnī jāneñ bachā rahe haiñ
sisak rahe haiñ tamām va.ada nibhāne vaale
ki ham ye kaisī aziyyatoñ ko nibhā rahe haiñ
kisī ne khiḌkī ko kholnā hai to dekhnā hai
so ham galī meñ guloñ ke jhurmuT lagā rahe haiñ
bichhaḌne vaale ne kab palaT kar ye dekhnā hai
ki ġham badan ke tamām hissoñ ko khā rahe haiñ
ye peḌ vāqif haiñ in fusūñ-ḳhez ḳhushbuoñ se
so ehtirāman tamām sar ko jhukā rahe haiñ
Top Urdushayar.com